Showing posts with label Memories. Show all posts
Showing posts with label Memories. Show all posts

Saturday, March 10, 2012

Ye Pal - A Hindi Poem About Childhood

Ye pal jald hi beeta kal ban jaayenge,
Shayad ye bhi kuchh to yaad aayenge.
Wo der se roz school jaana,
Roz homework na karne ka ek naya bahana.
Shararat karke teacher se nazrein churana,
Aur pakde jaane par daant khaana.
Class me garv se jawab batana,
Aur sahi hone par inaam paana.
Phir humara foola na samana,
Ghanto tak aise hi itrana.
Pareeksha ke liye jaane se pehle ghabrana,
Aur cheating karte pakda jaana.
Chhupa chhupi khelte hue washroom me chhip jaana,
Aur khel poora hone tak baahar hi na aana.
Chhuti ka wo lamba intezaar,
Weekend to jaise laaye bahaar.
Sunday to tha jaise ek tyohaar,
Chahta tha man, aaye yeh din baar baar.
School na jaane ke the bahaane hazaar,
Par kheench hi leta tha doston ka pyaar.
Samay ka dariya pal bhar me hota tha paar,
Jab sang hote the sab yaar.
Wo yaaron ko satana,
Unka naaraaz hokar rooth jaana.
Phir unhe laad se manaana,
Hum sabka wo andaaz mastaana.

Continue Reading >>



Rate This Post -

Wednesday, February 22, 2012

Dhool Si Yaadein (Hindi Poem)

Dhool si yaadein bikhar jaayengi 
Pal bhar me baatein badal jaayengi 
Kuchh na bachega paas tere 
Phir kya karega dil tu mere 
Mujhko itna bata de 
Mujhko itna bata de 

Dukh ki ye aandhi mit jaayegi 
Andheri raatein dhal jaayengi 
Gum ke baadal ye chhant jaayenge 
Masti ke lamhe wo phir aayenge 

Kuchh bhi ho, phir na tu rona 
Muskaan apni kabhi na ye khona 
Jeevan hai tera, koi daud nahi hai 
Man ki awaazein shor nahi hain


Kya khoya hai, kya paaya hai 
Isi me saara jeevan bitaya hai 
Aaj yun hi man me ek khyaal aaya hai 
Khwabon ke peechhe bhaag bhaag kar aakhir me kya paaya hai 
Mujhko itna bata de 
Mujhko itna bata de 

Continue Reading >>



Rate This Post -