Saturday, March 10, 2012

Ye Pal - A Hindi Poem About Childhood

Ye pal jald hi beeta kal ban jaayenge,
Shayad ye bhi kuchh to yaad aayenge.
Wo der se roz school jaana,
Roz homework na karne ka ek naya bahana.
Shararat karke teacher se nazrein churana,
Aur pakde jaane par daant khaana.
Class me garv se jawab batana,
Aur sahi hone par inaam paana.
Phir humara foola na samana,
Ghanto tak aise hi itrana.
Pareeksha ke liye jaane se pehle ghabrana,
Aur cheating karte pakda jaana.
Chhupa chhupi khelte hue washroom me chhip jaana,
Aur khel poora hone tak baahar hi na aana.
Chhuti ka wo lamba intezaar,
Weekend to jaise laaye bahaar.
Sunday to tha jaise ek tyohaar,
Chahta tha man, aaye yeh din baar baar.
School na jaane ke the bahaane hazaar,
Par kheench hi leta tha doston ka pyaar.
Samay ka dariya pal bhar me hota tha paar,
Jab sang hote the sab yaar.
Wo yaaron ko satana,
Unka naaraaz hokar rooth jaana.
Phir unhe laad se manaana,
Hum sabka wo andaaz mastaana.

Continue Reading >>



Rate This Post -