Ye pal jald hi beeta kal ban jaayenge,
Shayad ye bhi kuchh to yaad aayenge.
Wo der se roz school jaana,
Roz homework na karne ka ek naya bahana.
Shararat karke teacher se nazrein churana,
Aur pakde jaane par daant khaana.
Class me garv se jawab batana,
Aur sahi hone par inaam paana.
Phir humara foola na samana,
Ghanto tak aise hi itrana.
Pareeksha ke liye jaane se pehle ghabrana,
Aur cheating karte pakda jaana.
Chhupa chhupi khelte hue washroom me chhip jaana,
Aur khel poora hone tak baahar hi na aana.
Chhuti ka wo lamba intezaar,
Weekend to jaise laaye bahaar.
Sunday to tha jaise ek tyohaar,
Chahta tha man, aaye yeh din baar baar.
School na jaane ke the bahaane hazaar,
Par kheench hi leta tha doston ka pyaar.
Samay ka dariya pal bhar me hota tha paar,
Jab sang hote the sab yaar.
Wo yaaron ko satana,
Unka naaraaz hokar rooth jaana.
Phir unhe laad se manaana,
Hum sabka wo andaaz mastaana.
Chhoti chhoti ladaiyon ke baad ek ho jaana,
Aisa hi tha kuchh apna yaarana.
Ek hi lunch box me jaate kai haath,
Jannat sa lagta tha doston ka saath.
Games ka period lagaye chaar chaand,
Kya thodi hi aayegi in palon ki yaad?
Masti se baarish me nahaana,
Galiyon me paani bhar jaana.
Usme kaagaz ki naav chalaana,
Aur phir humara beemaar pad jaana.
Padosi ka kaanch todna baar baar,
Phir sochna "ball kaun laayega yaar?"
Khelne ko the khel anek,
Par mushkil thi apni ek.
Pehle khelein kaunsa khel,
Gilli danda ya gulel?
Police bankar bhejein jail,
Ya phir banayein koi rail?
Bachpan ka tha ek hi sapna,
Sabse uncha ghar ho apna.
Saari duniya jaane humko,
Autograph dein hum sabko.
Jab khwabon me the hum jeete,
Baandh na paate joote ke feete.
Phir bhi maa ke laadle hum hi the,
Yaad aayenge pal ye beete.
Shayad ab padega pachhtaana,
Humne in palon ka mahatv na jaana.
Kuchh bhi na tha jab bachkaana,
Mushkil hai inka lautkar aana.
Ye pal yaad to bahut aayenge,
Aankhein humari nam kar jaayenge.
Hum khud ko bebas paayenge,
Inhe yaad kar muskurayenge...
Shayad ye bhi kuchh to yaad aayenge.
Wo der se roz school jaana,
Roz homework na karne ka ek naya bahana.
Shararat karke teacher se nazrein churana,
Aur pakde jaane par daant khaana.
Class me garv se jawab batana,
Aur sahi hone par inaam paana.
Phir humara foola na samana,
Ghanto tak aise hi itrana.
Pareeksha ke liye jaane se pehle ghabrana,
Aur cheating karte pakda jaana.
Chhupa chhupi khelte hue washroom me chhip jaana,
Aur khel poora hone tak baahar hi na aana.
Chhuti ka wo lamba intezaar,
Weekend to jaise laaye bahaar.
Sunday to tha jaise ek tyohaar,
Chahta tha man, aaye yeh din baar baar.
School na jaane ke the bahaane hazaar,
Par kheench hi leta tha doston ka pyaar.
Samay ka dariya pal bhar me hota tha paar,
Jab sang hote the sab yaar.
Wo yaaron ko satana,
Unka naaraaz hokar rooth jaana.
Phir unhe laad se manaana,
Hum sabka wo andaaz mastaana.
Chhoti chhoti ladaiyon ke baad ek ho jaana,
Aisa hi tha kuchh apna yaarana.
Ek hi lunch box me jaate kai haath,
Jannat sa lagta tha doston ka saath.
Games ka period lagaye chaar chaand,
Kya thodi hi aayegi in palon ki yaad?
Masti se baarish me nahaana,
Galiyon me paani bhar jaana.
Usme kaagaz ki naav chalaana,
Aur phir humara beemaar pad jaana.
Padosi ka kaanch todna baar baar,
Phir sochna "ball kaun laayega yaar?"
Khelne ko the khel anek,
Par mushkil thi apni ek.
Pehle khelein kaunsa khel,
Gilli danda ya gulel?
Police bankar bhejein jail,
Ya phir banayein koi rail?
Bachpan ka tha ek hi sapna,
Sabse uncha ghar ho apna.
Saari duniya jaane humko,
Autograph dein hum sabko.
Jab khwabon me the hum jeete,
Baandh na paate joote ke feete.
Phir bhi maa ke laadle hum hi the,
Yaad aayenge pal ye beete.
Shayad ab padega pachhtaana,
Humne in palon ka mahatv na jaana.
Kuchh bhi na tha jab bachkaana,
Mushkil hai inka lautkar aana.
Ye pal yaad to bahut aayenge,
Aankhein humari nam kar jaayenge.
Hum khud ko bebas paayenge,
Inhe yaad kar muskurayenge...
Rate This Post -
{[['', '', ''], ['', '', ''], ['', '', ''], ['', '', ''], ['', '', '']]}