Jeevan ke is safar me
Main thoda thak gaya hoon
Mujhe soya rehne do
Adhoore reh gaye khwabon me
Meethi si kuchh yaadon me
Abhi khoya rehne do
Jaagne ki chaah nahi hai
Safar wahi par raah nayi hai
Saari jhoothi shaan gayi hai
Kachcha ab imaan nahi hai
Shakhs wahi hai mere andar
Lekin ab pehchaan nayi hai
Bheed me tha jo kho gaya
Jaane kya tha usko ho gaya
Jiske kuchh sapne the
Aur dil me apne the
Kisi se nahi koi gila hai
Raste me jo bhi ab mila hai
Jaane na wo kaun apna paraya
Sabhi ko to hai usne sataya
Har pal ye shaks saath hai mere
Kaise khud se ab mukh fere
Kabhi wo bhi waqt aayega
Jab khud ko ye shaks paayega
Khud se jab ye waqif hoga
Is safar ko anjaam tabhi haasil hoga
Tab tak mujhe sone do
Khwabon me khone do
Rate This Post -
{[['', '', ''], ['', '', ''], ['', '', ''], ['', '', ''], ['', '', '']]}